Yoga For Beginner’s योग क्या है ? Benifit Of Yoga ? योग कैसे करे ?
Yoga karne ka sahi tarika jane in Hindi | Benifit Of Yoga योग क्या है ? इसके फायदे क्या है ? योग कैसे करे ?
Yoga karne ke Best Tarika Hindi me :-
Aaj kal ki bhaagdod ki life me hamara khanpaan or rahan-sahan esaa ho gaya hai ki ham apani sehat ki or jyada jyan nhi de paate hai, jisake karan hame bahut si bimariyo ke hone kaa khatara rahata hai. bahari khanpan, milavati chije, bhi bimariyo ko amantrit karti hai. Bimariyo se bachane or sehatman rahane ke liye log ab tarah tarah ke upay karne lage hai,or sath hi saath log apani sehat ko surakshit karne ke liye bahut saare Paise Kharch kar dete hai. Aaj ki is Article me ham janenge ki Yoga karne ka sahi Tarika kya hai or isake niyam kya hai?
Achchi Sehat banane ke do Mul Mantra
2.Dusara Mantra :- Vyayam(Yoga), Bimariyo se bache rahane or Body ko active rakhane ke liye rojana yoga karne chahiye.Yoga karne se hamara sharir Healthy rahataa hai sath hi sath hamara mansik vikaas bhi hota hai.
Agar aap in dono chijo ko apani dincharya me shamil kar le to me aapko guarantee deta hun ki aap hamesha sehatmand Healthy rahenge.
Yoga karne ka sahi aur Best tarika Jane Hindi me | Yoga For Beginner’s
Yoga karne ka sahi tarika :- Yoga kaise kare | Best Yoga Poses ?
Sharir ke sampurn vikash ke liyeyoga bahut hi laabhdayak hai. yoda Daily karne se ham svasth bhi rahate hai or hamari rogo se ladne ki shamta Immunity Power me bhi Increase hoti hai. Isake saath hamare dimag or man ke liye bhi Yoga bahut hi faydenand hai. agar ham Yoga apanaa le to hame kabhi bhi docters ya hakimo ke paas Jane ki jarurt nhi padeghi, or davaiyo se bhi chutkaara mil jata hai.
Yoga karne ka sahi Time :- Yoga kaise kare
Vaise to aap Yoga kabhi bhi kar sakate hai par yog karne ka sabase achchaa samay subah ka hota hai. kyoki subah hamara man shant hota hai or Fresh air rehti hai.
Yoga karne ka sahi tarika or usake Rules :- Basic Rules of Yoga
Yadi aap Yoga ka sahi tarike se fayada uthana chahate hai to aapko Yoga ke bare me jankaari hona bhaut hi jaruri hai. Yoga ke niyam bahut hi asan hai. Yadi aapko yoga ka pura labh lena hai ki aapko isake tarike or laabh or hani ke baare me jarur janna hoga.
Yoga karne ka sahi tarika or niyam is Types hai.
1.Yog khali pet kare.
2.Yoga hamesha khulli hava vali jagah par kare.
3.Yoga karte samay saph safai ka bhi khyal rakhe.
4.Yoga karte samay air naak se lena chahiye or muah se chodna chahiye.
5.Yoga karne se pahale or baad me thodi der tak kisi bhi chij ka sevan nhi karna chahiye.
6.Kuch log time bachane ke liye jaldi jaldi Yoga karte hai ya galat tarike se karte hai jisase hamare sharir ko nukshan hota hai . Yoga dhire dhire aaram se sabhi step ke saath karna chahiye.
7.Pregnet mahilao ko Yoga karne se pahale Yogyakarta guru ki salah lekar Yoga karna chahiye.
8.Bukhar hone par Yoga nhi karna chahiye.
Yoga karne ke fayde (Benefit of Yoga in Hindi)
1.Yoga hamari rogo se ladne ki shamta ko badhata hai.jisase hamara sharir kai prkaar ke rogo se hame bachata hai.
2.Yoga se hamari pashan kriya bahut achchi hoti hai jisase hame pet ki bimariyo se mukti milti hai.
3.Rojana Yoga karne se hamar mansik vikash achcha hota hai.
4.Rojana Yoga karne se man shant rahata hai or dimag tej hota hai.
5.Rojana Yoga karne se hamara sharir sudol or mashpeshiya Strong banti hai.
6.Yoga karne se hamara body flexible ho jata hai jisase hamare bahut sale dard kam ho jate hai.
7.Rojana yoga karne se hamare sharir ko majbuti milti hai or hamari aankho ki roshni badhti hai.
8.Yoga karne se hamare chehare par padne vali or padi hui dhurriya khatam kar deta hai.
9.Yoga karne se hamare sharir ka blad sarkuleshan sahi rahata hai.
Yoga ke Nukshan | Disadvantages Of Yoga
Aajkal kuch log esi afvaah fela rahe hai ki yoga karne se sharir me kamjori aane lagti hai parantu aap or ham sab jante hai ki yoga se koi saideffect nhi hota hai sari rumers jhuthi hai.
Ashaa hi nhi pura vishvaas hai ki aap is artical ko padhane ke baad samajh gaye honge ki Yoga karne ka sahi tarika kya hota hai or Yoga kis time kare, Yoga karne ke fayde or Yoga kab kare ,in sab ki thodi bahut jankaari mil gayi hogi…
agar aapko ye post achchi lage to apnne dosto ke sath share jarur kare…..