Technology
How to Format a Laptop or Pc (8 Steps) HINDI
Aaj ka topic hai kaise apne computer ko format kare, jaise ki aap jante hai ki Computer PC ya Laptop ko format marne ke kai karan hote hai. Jaise aap apna Windows upgrade kar rahe ya aap apne sabhi Drive Format karna chate hai. iske sath hi kai sare karan ho sakte hai format marne ke, aapke is problem ka solution is tutorial mai bataunga bas aap isko ache se follow karte jaye.
Computer ko format marne ke liye Aapke paas original Windows opreting system ki CD ho to aap bina trening ya kisi experts ke bina apne Laptop ko Formatting kar sakte hai. Ager aap apne PC ya Laptop ko Format marna chate ho to niche di hui Step ko Follow kijiye.
Step 1.
Sabse phele apne PC me Save sara Deta External Hard disc ya fir kisi dusre Device me Save karle kyu ki Laptop Format karne ke baad aapke PC me Save sara Deta Delete ho jayega ya meet jayega.
Step 2.
Deta Save karne ke baad Windows Opreting System ki CD Drive me lagaye.
Step 3.
Windows Setup load hone tak intejaar kare.
Step 4.
Laptop ko Reboot hone de or windows setup ke Main Menu aane ka intejaar kare.
Step 5.
Windows setup main menu aane ke baad Install Now par Click kare.
Step 6.
Windows setup menu me inter karne ke baad Microsoft ke lisence agreement par tik mark kare.
Step 7.
Ager aap apne laptop me install windows ko repyer karke thik karna chate ho to aap “Esc” batton par click karke repyer kar sakte ho. Isse aapke PC ka deta save rahega lekin dusri setting windows apne hisab se Set kar dega.
Step 8.
PC me Hard drive ke Partition ko badal ne ke liye apne Keyboard me “D” batton ko daba ne ke baad “Enter” bottan ko daba de.
Ab aapke PC ki Hard drive Format Honi shuru ho jayegi.
Aapko ye jankari kaise lagi hume comments karke jaru bataye. Ager aapko isko karne me koi problem aati hai ya koi sujhav hai to aap hume comments karke bata sakte hai. Main aapki puri help karunga Hindi me.